Blogger Blog ke liye costom theme kha se download kare aur ye kyun jaruri hai.

Blogger Blog ke liye costom theme kha se le aur ye kyun jaruri hai?


Agar aap ka ek Blog hoga to aapko ye to pta hoga hi Theme Kya hota hai ya coustom theme kya hota hai? Aur agar nni bhi pta to Mai aapko bataunga ki Kya hota hai.

Agar aap ka Blog Blogger platform par hai to aapko Coustom theme ki bahut jayada jarurat padegi kyunki Blogger ki koi bhi utni professional looking ya S.E.O friendly nni hai.

Abhi kuch din pehle hi maine bhi apne Blog par ek couston theme upload kari hai. Uska naam hai Latest Minima Colored 3 Mag style. Ye sabse badhiya fast loading aur S.E.O friendly template hai. Iska price bilkul free hai. 

Mai aapko iss post me iss theme ke baare me nni bataunga bhalki ye bataunga ki aapko Coustom template ki Jarurat kyun padti hai? Aur Hume ye Coustom Templates kha se leni chahiye apni Blog ke liye?

Coustom Templates Kya hai?

Isse bbadi hi aasaani bhasa me samjha jaa sakta hai, voo theme jo aapke Blogging waale platform me pehle se naa ho usse usse kehte hai coustom template.

Matlab joo theme aapke Blogging platform jaise Mera hai Blogger ussme pehle se naa hokar Mai usse usse khud upload karu usse kehte hai coustom template.

Agar aapka blog Wordpress par hai to aapko Coustom theme istmaal karne ki utni jarurat nni kyunki Wordpress par pehle se hhi kaafi acchi themes aapko mil jaayegi voo bhi free me jaise Color Mag aur Great Mag ye dono meri favourite two free themes hai Wordpress par.

Blogger par aspka blog hai agar to appko Coustom theme ka istmaal karna hi chahiye kyunki Coustom theme professional looking aur bahut attractive hote hai. App mere waale theme ko hi lejiye ye mobile me utna accha nni lagta par Computer ya Laptop par ye bhi kaafi attarctive lagta hai.

Mujhe kyun Coustom template ki Jarurat padi?


Ab Mai sooch rha tha ki Mera blog accha nni lag rha hai mujhe aur acchi theme ka istmaal karna hoga aur phir Mai Amit Kumar ji blog All Hindi me Help ka ek post padh rha tha. 

Mujhe unki Blog ka theme bahut attarctive aur pasand aata tha aur mai finally unke dwara istmaal kiye jaane wale template ka naam pta chal hi gaya aur Maine uss template ko turant download karke turant upload kardi.

Aur ab sabse baad sawal tha ki ab iss iss template ko puri tarah se costomise kaise kare to isme bhi unhi ki ek video ne Meri help ki aur Maine pura template costomize kiya.

Aur Maine unki video bahut dhyaan se dekhi ki voo kaise kar rhe hai. Phir maine jab unka template upload kiya phir maine usse coustomize kar diya aur aaj voo aapke saamne hai.

Mai uss template upar ek alag se video banana aur aaplogo ye bhi bataunga ki ye template kaise ek tech blog ke liye best hai.

Blogger blog ke liye template free ho ya paid kha se download kare?


To, ab baat kar lete hai ki aapko ye saari themes kha se milegi aur aur Kya trusted hai.

Ye website joo Mai aapko abhi niche bataunga ye website sabse se trtrusted aur badhiya hai free aur paid Blogger templates ke liye.

Aur website hai Gooyaabi Template iski website visit karne ke liye yaha click kare.

Iske home page par aapko 3 chize dikhengi matlab teen types ki templates.


  • Responsive Templates:- Iss categories me aapko jitni bhi theme ya template keh lijiye lijiye aap vvo saari responsive hoti hai.

Extra fact:- Responsive templates Kya hoti hai?

Jaisa ki naam se hi samaj gaye honge ki responsive matlab jo response de bilkul yehi iska matlab bhi hai voo template jo response mobile aur desktop dono me accha response de aur S.E.O friendly bhi ho.
  • Free Blogger templates:- Ye voo categories hai jaha par aapko free Blogger templates milengi unka aapko koi paisa nni Dena padega. Aur iss categories me kuch aapko paid theme bhi milegi par aapko unka free version bhi use kar sakte ho aur yehi fact Gooyaabi templates ka sabse bada plus piont hai. 
  • S.E.O ready templates:- Iss categories me aapko bahut acche ache themes mil jayenge jinhe aap use kar sakte hai. Jaisa ki naam hai vaisa hi kaam matlab issie saari templates iss categori puri tarah se S.E.O friendly hai.
Aap apni need ke according templates ko use kar sakte hai.

Hume Blogger blog me costom theme ki Jarurat kyun padti hai?


Ye bhi ek bahut accha question hai ki Blogger ke it saare templates ke baad bhi Hume kyun iski jarurat padti hai. Isko Maine niche point wise bta deta hu:-
  • Maan liji ye aapko Blogging karna hai bahut acche tarike se Blogging karna hai aur aap kinhi karno ki wajah se se aap Wordpress nni use kar sakte aur aap Blogging Blogger platform par start kar de the hai. Iss case aapko Coustom template use karna hi chahiye kyunki ye aapke blog ko bahut professional look deta hai.
  • Blogger me aapko Jo bhi theme pehle se milta hai voo utna S.E.O friendly aur sabse badi baat professional looking nni hota.
  • Agar aapko Blogger blog se se blogging karna hai to aapko Coustom theme ko use karna hi chahiye aur karna chahiye hi AllHindiMeHelp.com friends ye website Blogger platform par bani huyi hai bahut hi badhiya Hindi tech blog bhi hai.
To saari wajah nni wajah to bahut saari hoti hai. Mai iss topic ke upar aur bhi post likhunga aur Mere blog ko subscribe jarur jaise aap log YouTube channels ko karte hai.

Aapko mai ek chiz jsrur recommend karunga ki aap Coustom template istmaal kare na kare par Google adSence ke liye apply karte time koi bahut hi badhiya Coustom theme puri tarah se coustomize karke upload kar de aur aaply kare.

Ye bhi jarur padhe:-

Aur agar koi bhi sawal ho to aap comment karke jarur bataye. Aur ha agar post accha lga ho to share bhi jarur kare.

1 comment:

  1. Easy "water hack" burns 2 lbs OVERNIGHT

    Over 160 000 men and women are utilizing a easy and secret "liquids hack" to drop 2lbs every night as they sleep.

    It is easy and it works all the time.

    This is how to do it yourself:

    1) Get a clear glass and fill it with water half full

    2) Proceed to use this proven HACK

    you'll become 2lbs thinner the very next day!

    ReplyDelete