Kya Blogging ke liye Blogger platform best hai? Pros and Cons of Blogger.

 Kya Blogging ke liye Blogger platform best hai? Pros and Cons of Blogger. 


To, ye to mai aapko pehle hi bta chuka hu ki Blogger platform kya hai kaise use Kare aur bhi bahut kuch. 

To iss post me mai aaj aapko iss post me ye bataunga ki kya aapko Blogger ko use karna chahiye.

To isse aap tabhi use kare jab aap Blogging me starting karne jaa rhe ho to hi agar aap ko Blogging professional level par karni hai to aap isse Jara bhi use naa kare. Ye sab kyun ye maine neeche explain kiya hai.

Kya aapko Blogger ko Blogging ke liye use karne chahiye?


To iska, jawab hai haa aur naa bhi . Aur aisa kyun mai bol rha rha hu voo mai aage explain kar de rha hu.

Dosto, agar aap Blogging ke baare me jayada kuch nni jaante aur aapne abhi abhi starting hi ki hai to aap Blogger ko hi use kariye.

Jab aap Blogger wale Blog me successful ho jayenge app Google adSence ka approval letter lenge aur aapke pass ek income ka source jab ho jayega to aap WordPress par apne Blog ko migrate kar sakte hai. 

Blogger ko use karne ke kuch fayde aur nuksaan ke baare me baata kar let hai.

Blogger ko use karne ke kuch faayde :-


To, ab mai aapko Blogger ko use karne ke kuch faayde ke baare me bta rha hu. Isko use karne ke bahut saare faayde bhi Hai aur bahut saare nuksaan bhi hai friends.
To hum abhi sirf faayde ke baare me baat karnenge.

  • Blogger bilkul free of cost Hai.
  • Blogger par blog ko sirf ek G-mail ID ke dwara banaya jaa sakta hai.
  • Blogger me aap ek G-mail ID se 100 alag-alag Blogs ko bana sakte hai.
  • Blogger me sabhi blogs ko manage karna bahut hi simple hai.
  • Blogger me aap apne blog ka URL ko bahut hi aasaani ke sath aur bahut hi simple tarike see change kar sakte hai.
To ye hai kuch faayde Blogger ke. Vaise  ye aur bhi Hai sab ko to yha likh nni sakte aur isse hamare iss post ka subject hi badal jayega.

To, jaise dosto har sikhe ke doo pehlu hote hai. Vaise hi dosto har chiz ke kuch faayde aur nuksaan dono hi hote hai. Ab mai aapko Blogger ke kuch nuksaan ke baare me btaumga.

Blogger ko use karne ke kuch nuksaan :-


To dosto an mai aapko Blogger ke kuch nuksaan ke baare me btaunga. Unme se kuch to aapke kaan bhi khade kar sakte hai.

  • Blogger me themes Responsive nni hoti.
Jii, haa dosto Blogger me aapko jo themes pehle se milte hai unme se bahut saare aise themes hai hote hai joo Responsive Theme ( mobile-friendly themes ) nni hoti aur isse aapki S.E.O par bahut jayada effect padta hai. Currently jo, Mai apni Blog AllThingsWithMe par use kar rha hu voo hai Notable Blogger theme joo ki responsive hai.

  • Blogger me aap apne Blog ke maalik khud nni hote ho.
Haa, dosto agar aapka Blog Blogger par bna hua hai to aap iss galat faami me mat rhiyega ki aap apne Blog ke maalik khud ho. To ye kyun hota hai, uski bhi el wajah hai voo hai. Ki aap ka Blog Blogger ke Hosting par Hosted hai aur Google yaani Blogger Google baba ka hi product hai to Google baba aapko jab chahe tab aapke Blog ko delete kar sakta hai apne Blogger ke Hosting space se.

  • Blogger me aapko agar apni theme me kuch bhi edit karna hai to aapko Coding aani chahiye. Haa par ab Layout ke option par bhi jaakar aap editing karsakte ho apni theme ki phir bhi aapko bahut saare features ko use karne ke liye aapko Coding aani chahiye.
To ye hai Blogger ke kuch bahut bade nuksaan Jo shayad aap ke bhi kaan khade kar diye honge. Agar aap baahar se se template download karke upload karenge to aapko Responsive Theme ya S.E.O ready themes ke liye aapko pay karna padega.

Aur bhi Kai saare investments Mai aapko pehle hi bta chuka hu joo aapko karne chahiye agar aapne ek naaya blog banaya hai to uss post ko read karne ke liye link mai aapko neeche de donga.

To, ab ye bhi baat aati hai ki mai kyun Blogger use karta hu. To Meri Blogger ko istmaal karne ki bahut saai wajah hai. Unme se kuch mai aapke saath neeche share kar rha hu.

  • Blogger ek dam free hai isliye aur ye Kai saare acche Bloggers dwara recommend bhi Kiya jata hai ki aap pehle Blogging ki starting aap pehle Blogger we kariye aur phir aap WordPress par migrate kariye.
  • Blogger par naa to Web Hosting aur naa hi Domain Name ka koi charge lagta hai.
  • Blogger ko use karna ek new Blogger ke liye todha aasaani hota hai. 
To bass yehi this kuch wajah mere Blogger ko use karne ki. 

          Also read:-


                        Thanks, for reading.

1 comment:

  1. Useful article.You are doing great.CLICK HERE TO VISIT OUR TECH WEBSITE!
    --------------------------------------------------------------------------------------
    Meesho-Earn 5,000rs. Per Month By Reselling Products | Make Money Online In Zero Investment
    --------------------------------------------------------------------------------------
    Best Video Editing Apps In 2019
    --------------------------------------------------------------------------------------
    Start T-shirts Selling Business | Make Money Online In Zero Investment
    --------------------------------------------------------------------------------------
    How to download copyright free images for blogpost?
    --------------------------------------------------------------------------------------
    Top 5 Ways to Make Money Without Adsense
    --------------------------------------------------------------------------------------
    How to earn money with youtube without adsense?

    --------------------------------------------------------------------------------------
    Now Earn Money By Watching Youtube Videos
    --------------------------------------------------------------------------------------

    ReplyDelete