S.E.O ki saari jaankari aur ye aap ke website/blog ke liye kyun jaruri hai

S.E.O ki saari jaankari aur ye aap ke website/blog ke liye kyun jaruri hai:-


Hello, dosto, aaj se mai ek Naya series start karne jaa rha hu S.E.O ke baare me to iss series me Blogging ki tarah mai aapko S.E.O ke kaare sab kuch bataunga. Aur ye Mai koshish karonga ki mai ye saari chize aapko aasaani bhasa me samjha saku. 

To iss post me hum sirf S.E.O ke basics ki baat karenge abhi iss post me utna jayada kuch detail me nni bataunga.

To sabse pehle baat kar let hai ki kya hota hai S.E.O?

S.E.O Kya hota hai? 


S.E.O ka full form hai Search Engine Optimization. Sabse aasaan bhasa me kha jaaye to S.E.O ek pure process ko ja jaa sakta hai aur voo hai apni site ko Search Engine me submit karna uska ranking karana aur use accha khassa traffic paana.

To maine S.E.O aapko ek process ke taur par samjhaya hai vaise to S.E.O ko ek nni Kai tarike see define Kiya jaa sakta hai.

Indirectly aap ye baat samaj lijiye agar aapko apni Website/Blog ko popular banana hai to aapke liye S.E.O behad jaruri hai aur ye mai aapoko aage bataunga aur mujhe puri ummid hai ki aap ko samaj aa jayega.

Aur ab chaliye baat kar let hai ki ye kyun jaruri hai.


S.E.O kyun jaruri hota hai?

Friends, ye to mai aapko upar hi bta chuka hu ki Bina S.E.O ke aapki site popular hona behad muskhkil hai.

Niche maine kuch reasons diye hai Jo aapko samjha sakte hai ki S.E.O kyun jaruri hota hai.

  • S.E.O se  aapki site ki Traffic par bahut bada aasar padta hai.
  • S.E.O seeaapki site ki Alexa Ranking par bhi asar padta hai.
  • S.E.O se aap ki site bhi popular hoti hai.
  • S.E.O se aap bhi indirectly poular hote hai.
  • S.E.O ki traffic se aap adSence se Content Matching ads ko Apne site par laga sakte hai. Vaise to ye option bina pehle se rehta hai chahe aap ke pass traffic ho ya na ho par tab ads utne matching nni honge.
To ye the S.E.O ke kuch faayde Jo bahut hi kam hai Mai saare to yaha likh nni sakta.

S.E.O kyun Kare?


Aur ab Mai aapko bta deta hu ki aapko S.E.O kyun karna chahiye. Dosto , S.E.O karni hi padegi aapko agar aapko Blogging me successful banana Hai to aur agar aap S.E.O nni karnege to aapko traffic nni milegi.

To Mai and aapko piont wise samjha deta hu :-

  • Agar aap chahte ho ki aapki Blog bahut famous ho jay app jiss desh ke hai sirf ussi desh me nni bhalki pure duniyaa bhar me to aapko S.E.O karna chahiye. 
  • Agar aap Blogging kar rhe hai Earning karne ke liye to aapko S.E.O karna hi karna hai. Ye isliye kyunki Search Engine se jo traffic aata hai usse aap ka adSence ka C.P.C (Cost Per Click) bahut high ho jata hai.
  • Agar aapko baut saara traffic chahiye to kyunki dosto on an average Google me 1 second me 56,000 searches hote hai. To Jara sochiye ki agar aapne 3-4 high search volume wale keywords par Google ke first page par ranking like to aap ko Kam se Kam bhi 2000 se se lekar 3000 pageviews bahut aaram see mil jayega.
   
     To, ye Hai S.E.O karne ke kuch faayde magar aap ek bast jaan lijiye agar aap S.E.O kar the hai to aap hamesa faayde me rahenge aur ek badhiya Blogger ya Pro Blogger bhavisy me ban sakte hai.

Aur agar aap S.E.O nni kar rhe to aapko Jara bhi faayda nni hoga Blogging se bhalki bina S.E.O me aap apna samay bar baad kar rhe hai Blogging ke field me.

Search Engine io kaise pata chalega aake Blog/Website ke baare me?


To, ab it a sab kuch jaanne ke baad ye bhi to sawal uthta hai ki Search Engine ko kaise bataye ki ha hamara bhi Blog hai ya Website hai. Dosto, Search Engine apne aap aapke Website ya Blog ko index nni karenge isse aapko khud se karna padega aur ye kaam karne ke liye aapko pehle apni site ko Google Search Console me add karna padega.

Ye kaam karne ke Blogger aur WordPress dono me hi todha alag alag tarika hai. To mai aapko ye chiz aage bataunga donga aur aap badi aasaani se samaj bhi jayenge.

Kya Blog/Website ko sabhi Search Engines me ek sath submit Kiya jaa sakta Hai?

To ab ye bhi jaan lijiye ki Kya hum apni site ko sabhi search engines me ek sath submit kar sakte hai ye kaam karna kuch logo ko todha tuff lagta hai karna par ye kaam karna bahut hi aasaani hai.

Ek website hai jiska naam hai Entireweb jiske help se se aap apni site ko sabhi Search Engines me ek sath submit kar sakte hai.

To Mai aap ko ye bhi bataunga ki ye kaam kaise karana hai ye aane wale post me Mai aap ko acche se samjha donga.

Kya S.E.O se aap ki earning par koi asar padta hai?


To iska jawab hai haa bilkul padta isliye agar aapko Blogging me se acchasee khassa Paisa nikalna Hai to aapko S.E.O ko kaana hi chahiye aur ye kaam utna muskil nni hai ki Google me ranking lena agar aap Quality content like Hai to aap definitely rank jarur karenge.

Ab mai aapko Bata deta hu ki ye aapki earning par kaise asar dalta hai.

Jitna bhi aapko Organic Traffic(Search Engine se aapko jo traffic milta hai usse, Organic Traffic bolte hai) utna hai utna hi aapka CPC high ho jayega Google adSence ka.

Agar aapke minimum 4-6 post bhi acche Monthly Serach Volume wale keywords par ho gayi to bhi aapko bahut aacha monthly organic traffic milane lageaga aur aap Affiliate Marketing se bhi paise kama sakte hai.

Indirectly agar aapke pass Organic Traffic hai to aap Advertisement apne Blog ya Webiste par Kara sakte hai dusre sites ka voo bhi kiss bhi jagah apni Website ya Blog par. 

ShoutMeLoud par friends header par Advertisement cost hai $2800. Ye sirf unki traffic se huwa Hai Jo kareb karib 1 million se lekar 1.5 million tak hai aur ussme se unke mutabik 82% Organic Traffic hi hai.
Ye rha screenshot:-



To ab mujhe lagta hai ki aapko samaj as gaya hoga ki agar aapke pass Organic Traffic hai to aap kitna kama sakte hai.


Conclusion:-


Dosto, ye series bhi bilkul Blogging ki hi tarah chalegi aur Mai aapko aage aur bhi bahut kuch interesting chize S.E.O ke baare me bataunga. Ye post to sirf aapko ye batane ke liye tha ki S.E.O kya hai? bass sirf itna hi tha.

Mai aapko kuch bhi aisa nni bataunga Jo Maine khud na try ki hoo. S.E.O ki bhi series Maine tabhi start ki dosto jab mere kuch post Google me ranked kar gaye the.

To, aaj ke liye itna hi agar ye jaankari aapko acchi lagi ho to isse share karna na bhule aur agar koi bhi sawal ho to use Comments me jarur puucche.

1 comment:

  1. Useful article.You are doing great.CLICK HERE TO VISIT OUR TECH WEBSITE!
    --------------------------------------------------------------------------------------
    Meesho-Earn 5,000rs. Per Month By Reselling Products | Make Money Online In Zero Investment
    --------------------------------------------------------------------------------------
    Best Video Editing Apps In 2019
    --------------------------------------------------------------------------------------
    Start T-shirts Selling Business | Make Money Online In Zero Investment
    --------------------------------------------------------------------------------------
    How to download copyright free images for blogpost?
    --------------------------------------------------------------------------------------
    Top 5 Ways to Make Money Without Adsense
    --------------------------------------------------------------------------------------
    How to earn money with youtube without adsense?

    --------------------------------------------------------------------------------------
    Now Earn Money By Watching Youtube Videos
    --------------------------------------------------------------------------------------

    ReplyDelete