Micro Niche blogging kaise kare $500/month kamane ke liye.
Hi, friends aaj hum baat karenge ki Micro Niche Blogging kaise karna hai? Saare steps aapko bahut clearly Mai discuss karne wala hu is article me.
Jaisa ki maine aapse apne pichle post me kha tha ki Mai is article ko agle 3-4 days me share kar donga to ye rha post aapke saamne.
Start karne se pehle Mai aapko Mera vo post read karne ki salah dena chahonga jisse Maine iske pehle share kiya tha qki usse aapke Mann ke saare doubt clear ho jayenge niche blogging se related.
So, aap usse padh sakte hai
yha click karke. Aur mujhe ummid hai ki aap isse jarur read karenge.
Agr, aapne Blogging me kaafi samay gujar chuke hai aur aap kisi bhi ek particular field me master/expert ban chuke hai to aapko aapke ussi ordinary blog me Kam na karne ki bajay balki ek naya blog banana chahiye jisme aap sirf vohi topic ke upar hi saare article published karenge.
Aisa karne me agar aap safal hote hai to aapka Blogging world aur sath hi sath Internet ke world me alag hi naam hoga. Aap ko log pro-bloggers me ginane lagenge aur aapka respect badh jayega.
Income karne ke source aaj ke waqt me blogging ko banana ek bahut sahi decision ho sakta hai. Qki aajkal saara kam log online karna bahut pasand karte hai iske bhi 3 mukhya wajah hai:-
- Time ka bachat hota hai.
- Aasaani se ghar baithe to sakta hai.
- Mostly services 24×7 on rehte hai.
To zara sochiyega agar aap ek aisa blog create karte hai jisme content very perfectly written aur long form ho to aap kitna paisa earn kar sakte hai.
Niche bloggers ke sites par traffic outstanding hota hai, search me ranking always top 5 me hoti hai, Readers unhe apna motivation mante hai, unki earnings bahut hoti Hai.
To aap agar niche blogging karenge to sochiye ki aap kitna kmai kar sakte hain.
Mai is post me aapke saare doubts clear kar donga ki isse kaise kate hain.
Isse kaise karna hai? Aur sabse jaruri kis platform ko use karna hai?
S.E.O kiase karna hai? Post kaise write karna hai.
Niche site kaise banaye? All steps in hindi.
Jo main point hai jisse mujhe discuss karna that vo yehi hai. Nicche maine aapko well detail me samjhaya hai ki ye kaise karte hain.
1) Niche se related hi domain choose kariye.
Ye ek aisa factor Hai Jo Hai to bahut sailent but iska mahatva bahut jayada hai.
Iska Matlab hai ki aapke site ka Jo topic hai ya hone wala hai ussi ke according aapka domain name bhi hona chahiye.
For, example:- Agar aapka topic S.E.O hai to aapko domain bhi S.E.O term se related hona chahiye.
Jaise
Backlinko ye ek top blog Hai Jo sirf S.E.O se rse related hai aur aap iska domain dekhiye to aapko isme saaf saaf ek word dikhega Backlink.
Backlink, S.E.O ka sabse important term Hai jis ke bina koi bhi site Google me rank kar hi nni sakta.
Niche related domain ko Google jaldi search me show kar deta hai.
Agar aapko Aapke niche se related koi domain nni samaj a rha to Mai aapko ek website ke baare me bta deta hu jiske help se aap apne liye ek right domain name choose kar sakte hai.
Name Mesh hai uss website ka naam jiski help se aap apne blog ke liye write domain name choose kar sakte hain.
Note:-
Ye website se aapko suggestion mil sakta hain.
Name Mesh se kaise domain suggestion paay?
Mai aapko suggestion paane ki full iformation de rha hu step by step with screenshot.
Step 1- Sabse pehle aap
yha click kare phir aap is website ke homepage par redirect ho jayenge jha aapko kuch aisa interface dikhega.
Us box me aapko Aapke main-main keyword daalne hai 2 ya 3 se jyada bhi nni.
Step 2- To ab aapko suggestion dikh jayenge. Jaise Maine liya tha apna main keyword "Blogging, Blogger, S.E.O" to use related suggestion mujhe name mesh nicche dikhayega.
Step 3- Jo sabse important part Jo mai aapko dikhana chahta tha vo seo friendly domain list.
Ye list un domain ki Hai Jo seo seo point of view se bahut badhiya hai. Jaisa ki aap yha dekh sakte hai.
Is tarike ke upyog se aap name mesh se domain suggestion prapt kar sakte hain.
Ye aapko vahi doamin search me show karta hai jo jo available hota hai. Aap us par register kar sakte hain.
Finally, ab mujhe nni lagta Hai ki aapko niche related domain se related koi problem nni hoga.
Ab hum discuss karenge ki aapko apne niche blog ke liye kaisi hosting buy karni chahiye.
Hamesha jab bhi aap Niche sites par work karne ja rhe ho aapko ye hamesha yaad rakna hai ki aapko acchi hosting hi buy karni hai.
2) Choose good Web Hosting.
Ye dosra factor hai friends ki aapko kaunsa hosting purchase karna chahiye?
Iska jawab hai ye ki aapko aisa hosting purchase karna hai jo accha Load jayada se jse jayada handle kar sake.
Aisa isliye jaruri hai kyunki agar aapne kisi bekar hosting company se hosting purchase kar liya to jab aapki site par traffic aane lagega to vo hosting company aapke site ka load time badha degi.
Agar us hosting company needs aisa Kiya to aapki site ki ranking Jo Google me currently hogi vo turant down ho jayegi.
Aisa isliye hoga kyunki Google ka ranking factor me se ek Hai load time of the side means kitni der me aapki site user ke click karne par load ho rhi hai.
Agar aap kisi acchi company se hosting buy karte hai to aapki site ki load time nni badhata jayada traffic aane par aur vo aapki site ka load time down nni karega.
Ranking down hone se aapki blog ki popularity par sabse jayada effect padega.
Kuch acchi Web Hosting company ke naam Maine yha diya hai:-
Friends, ye saari hosting companies ko is field me kaam karte huwe kaafi samay ho gaya Hai. Ye sab kaafi trusted bhi hai.
Specially Kinsta aur BlueHost ye dono to bahut hi jyada popular Hai.
ShoutMeLoud Jo ki Mr. Harsh Agarwal ka Blog hai aur sath hi sath India ka no. 1 blog bhi Hai. Jo aapko Live Like a Boss ke tips deta hai.
Ye blog bhi Kinsta hosting par hi hosted Hai aur Mr. Harsh bhi isse unke readers ko recommend karte Hai kyunki ye hosting service load lene ke liye pure world me kaafi famous Hai
Par ye hosting sabhi log afford nni kar skate hain kyunki iska basic plan hi sayad $30 se start hota hai.
Mai aapko personally recommend karung ki aap Blue Host hosting ko chune kyunki ye kaafi affordable ye bahut afford able price se start hota hain Jo hai $3.95 ye reasonable price hai.
To Mai bast karne wala hu ki apne 3 step ki Jo hai WordPress ji ha dosto humara 3 step hai WordPress.
3) Always Choose Wordpress.
Ye hai 3 step aur very important step. Aaj Kal har famous sites jyadatar Wordpress par kaam karti hai.
Kyunki ye easy to use hai, support kabile taarif hai, ye aapko Aapke blog/website ki files ko access karne deta hai yaani root directory access deta Hai.
Wordpress par Jo bhi blogs hote Hai unhe Google ranking aaram see deta hai. Kyunki woo kaafi good-looking hote hai.
To, Jara sochiye ki agar aap apne niche blog ke liye Wordpress ko choose karenge to to aapko kitna faayda hoga.
Wordpress ke istmaal se aap jayda S.E.O friendly articles likh sakte hai. Due to one Plugin Jiska naam hai Yoast S.E.O Plugin.
Is Plugin ko har bada-chota Wordpress user istmaal karta hai kyunki ye paragraph analysis, most valuable content marking, site ki roj search visibility checking, xml stitemap generation, post/page ki text link counting, top navigation menu me Yoast S.E.O apna menu show karta hai.
Ye complete seo package hai WordPress me aur bhi aise Kai saare plugins hai jaise Woo Commece Plugin agar aapko e-commerce site built karni hai to issi se puri tarah ho jayega.
Aise hi hai ek aur Ad Inserter Plugin Jo aapko site par kahi bhi as insert karne me kaafi helpful hoga. Chahe would ad kisi ad network ka ho ya direct advertisement.
Wordpress par har ek chhote-chhote kaam karne ke liye aapko plugin mil jayenge.
In hi plugins ke wajah se Wordpress aaj duniya bhar me poular ho gaya hai. Kuch free hai aur kuch paid.
Wordpress waali sites ki indexing kaafi jaldi ho jati hai aur ranking bhi. Ye aap bhi dekhte honge koi bhi keyword Google me search karte Hai to aap dekhte hi honge ki sabse top par Wordpress wali sites hi aati hai.
Maine ek post already write kiya hai Wordpress vs. Blogger agar aapne usse read nni kiya hai to read karne ke liye
yha click kare.
Mai aapko Wordpress strongly recommend karta hun kyunki Blogger par aap ek niche blog create to kar skate hain par aapko kaafi problems ka bhi saamna karna padega kyunki Blogger par har ek chhota chhota kam karne ke liye Coding ka Gyan hona jaruri hai.
Humare aaj ke 4 step aur last but not the least Jo hain Proper Keyword Researching.
4) Do Proper Keyword Researching.
Aaj ka mere post ka ye aakhri step hai Jo hai proper Keyword Researching.
Sabse pehle Mai aap logo ko ye bta do ki keyword kya hota hai? kyunki aaj se se pehle Maine iska zikra kab nni kiya hai.
Keyword guys basically ek word/phrase hota hai Jo Google me user search karta hain.
Aur,
Keyword Researching hota Hai ye jaana ki kis kkis keyword par kitna monthly organic traffic hai kitna us par competition hai, aasaan bhasa me kaho to keyword analysis karna ek tarike se.
Keyword Researching ke liye kaafi free tools bhi available hain aur sath hi paid tools bhi.
Mai recommend karung ki aap paid keyword researching tools ka hi aasaani istmaal Kare kyunki ye aapko pura accurate data show karta hai.
Par ye itne coastly hote hai ki har koi inhe afford bhi nni kar sakta hain.
Lekin ye apni price par bahut sahi khade utarte hain ye aapko kaafi acchi abilities dete hai.
Keyword Researching se se article likhne slikhne se uska rank hone ka chance kaafi badh jata hai.
Jo do sabse best keyword researching tools paid wale available Hai market me voo hai:-
Free tools agar aap use karne ka soch rahe hai to Meri maniye to aisa mat kariye kyunki agar aap aisa karte hain to kio bat nni par free tools aapko utna accurate nni bta paayengi.
Aur to aur aapke upar kuch limitations bhi hote hai.
Paid use karne se app apne competitor de bhi apne aapko tally kar sakte Hai ki uska kaunsa keyword well-ranked hai Google me, use kaun kaun se sites par apna Backlink built kiya hai.
Uska daily ka kitna Organic traffic hai. Aapko uski jagah lene ke liye aapko apni site par kitne backlinks banane hai ye bhi aap jaan sakte hain.
Keyword researching ke baad aata Hai number article aap kaise likhte hai.
Isse bhi Mai brief me to nni short me explain karenge aage.
Article kaise write karna hai niche blogs me?
Isme aapko jayada nni kuch hi pionts ka dhyaan rakhna hai. Jaise:-
- Article minimum 1000-1500 words ka to hona hi chahiye.
- Article me anavashyak images ka use nni karna hain.
- Jarurat padne par hi GIF images ka use Kare.
- Main keyword ko post ke pehle 100-150 words me to jarur rakhe.
- Images ko bhi Optimize karna na bhulein.
- Images ka alt attribution kare.
- Ek keyword 2.5 se 3% se se jayada bar reapeat na kare.
- Infographic ka prayog ho sake to jarur kare.
- Article ke last me final words, conclusion,etc type karke article ke baare me short me saransh yaani summary likhna na bhulien.
Bas, yehi the kuch points jinka aapko dhyaan to jarur Dena hi chahiye article writing ke samay.
Infographic ke through Maine aaj ke article ko short me present kiya Kiya Hai. I know ki inforgraphic term aapke liye bahut Naya hai isliye Mai todhe hi dino is par ek article bhi post karne wala hoon jisse aapko ye clear ho jayega.
Keyword Researching bhi naya Tha is par bhi article jald hi aane wala hai.
Finally mujhe asha Hai ki aap logo ko ab Niche blogging karne me koi dikkat nni hogi aur aap bhi ek acche niche blogger ke roop me ubhar kar aayenge.
But, stop Mai aapko ek aur tip dunga bonus ke taur par aur vo tip hai Social Media.
Bonus Tip:-
5) Use social media for Pormotion.
Guys, ye Hai vo extra tips ya samaj lijiye bonus Tip Jo Mai aap logo ke sath share karna chahunga.
Aur vo tip Hai social media ji ha friends aaj ke zamane me social media kaun nni use karta hai.
Aur issi bast ka faayda aapko uthana hai. Aapko Aapke blog ke liye social media pages banane Hai, groups banane Hai.
Wha se aane Wala traffic aapke blog ki poularity bhi badhhayga sath hi sath vo aapko ek quality backlinks bhi dega Jo aapko rank karne me kaafi helpful saabit hogi.
Aaj ke time par Facebook, Twitter, WhatsApp, Google+, ye kuch aise social media account Hai Jo har Android user use karta Hai.
Aapko Facebook page create karna Hai use apne blog ka url submit karna Hai use roj kuch na kuch psot karte rehna hai isse aapko faceFacese Backlink bhi milag aur traffic bhi.
Google+ par aapko community create karni aur simply apne blog ke post ko add karna hai. Aur agar aake Target par foreign countries hai ranking krne ke liye to Google+ se behetareen social media platform aur kuch ho nni sakta.
Social media app apne content ko promote na karna aaj ke taarik me blogging me failure ka ek big reason ban chuka hai.
To, bass aaj ke liye itna hi dosto.
Final Words:-
Dosto, ye ek chhota se post me share kiya hai ki Kaise micro niche blogging Kare taking aap monthly Kam se Kam $500 aaram se kama sake.
Aur mujhe y pura ummid hai ki aapko ye post pasand aaya hoga.
To is apne sabhi dosto, family members ke sath share karna na bhulein.